Monday 21 February, 2011

Kavita

Kaavita jab bhi kahi jaati bhaav se kahi jaati
Kavita jab bhi samjhi jaati bhaav se samjhi jaati


Kavita vo hamesha hi samaaj yaad rakhta hai
jo poornataya samaaj ke lie hi hai likhi jaati


Kavita maun hai kavita maun ki abhivyakti bhi
Wachaalta khamoshi ki khamoshi se kahi jaati


Kavita chhaanv hai jo kalam se yehi kahti rahti 
Tasavvur ke aasmaan se jazbaat ki dhoop nahi jaati


Adhoori likhi bhi poorna aur poori bhi adhoori
Kalam aur kalapana ki udaan nahi naapi jaati




'Kraant'



No comments:

Post a Comment