Saturday, 9 July 2011

Ga_ii vo baat ki ho guftaguu to kyo.nkar ho


Ga_ii vo baat ki ho guftaguu to kyo.nkar ho 
 
 
 
Ga_ii vo baat ki ho guftaguu to kyo.nkar ho
kahe se kuchh na huaa phir kaho to kyo.nkar ho



hamaare zahan me.n is fikr kaa hai naam visaal
ki gar na ho to kahaa.N jaaye.n ho to kyo.nkar ho
 


adab hai aur yahii kashamakash to kyaa kiije
hayaa hai aur yahii gomago to kyo.nkar ho
 


tumhii.n kaho ki guzaaraa sanam parasto.n kaa
buto.n kii ho agar aisii hii Khuu to kyo.nkar ho


 
uljhate ho tum agar dekhate ho aaiinaa
jo tum se shahar me.n ho ek do to kyo.nkar ho



jise nasiib ho roz-e-siyaah meraa saa
vo shaKhs din na kahe raat ko to kyo.nkar ho



hame.n phir un se umiid aur unhe.n hamaarii qadr
hamaarii baat hii puchhe na vo to kyo.nkar ho



Galat na thaa hame.n Khat par gumaa.N tasallii kaa
na maane diidaa-e-diidaar juu to kyo.nkar ho
 


bataa_o us mishaa ko dekhakar ho mujh ko qaraar
yah nesh ho rag-e-jaa.n me.n faro to kyo.nkar ho
 


mujhe junuu.n nahii.n Gaalib vale baqaul-e-huzuur
firaaq-e-yaar me.n taskiin ho to kyo.nkar ho
 
 
 
 
-Mirza Ghalib

No comments:

Post a Comment