Govyande bhi jalvyadhi apara
tamaen kachhu soojhat na,vaar na para
agam geh doori durantar,boli bharos na dehun
teri bhagati parohan snt arohan,mohi chadhai na lehu
loh ki naav pashaan nibojhi,sukrat bhaav bihuna
lobh tarang moh bhayo gaala,meena bhayo manleena
deenanaath sunaun beenti,kauno het vilambe
raidaas daas sant charan,mohi avlamban deejae
Sant Ravidaas ji kahte hain ki hey Govind! ye sansaar vyadhiyon ka ghar hai.isme ar paar kuch bhi to dikhayi nahi deta.
ghar iti door hai ki vahan tak pahunchna sambhaw nahi hai.boli ka bhi bharosa nahi hai.kewal aapki bhakti hi is sant(Ravidaas)
ke lie aarohan ka parohan hai.Aashay ye ki aap mujhe bhakti pradaan karen.
we kahte hain ki sadkarmon ke bina anya sabhi karm lohe ki naav jaise hain
aisi naav par pathhar lade hain,lobh roopi tarangen uthh rahi hain.mohroopi tuchh shabd uchharit ho rahe hain,machhli roop ye man usi me mast hai.
Ravidaas vinay karte hue kahte hain ke hey Prabhu! aap meri praathna sune,Vilamb kyun karte hain? hey prabho! aap mujhe santon ke charano ka aashray den jisse mera udhaar ho.
No comments:
Post a Comment