Tuesday, 20 September 2011

Ki Janaa

Ki Janaa (Kya jaanun)

Ki jaanaa main koi re baba
ki janaa main koi

jo koi andar bole chaale
zaat asaadi soi

jisde naal main nehun lagaya
ooho jiha main hoi

mihar kari te fazal karin tu
main azaz di dhoyi

nachad lagi taa ghunghat kehaa
jad munh thin latthi loi

bhala hoya asi duron chhutte
nedion laal laghoi

bulle shaah inaaeet karke
shauk sharab dittoee



aatma ki apni koi jaati nahi hoti,aam taur par aadmi apne ko pehchaan nahi pata.
islie sant kahta hai are baba mujhe kya pata ki main kaun hun.main kaun hunye bhala main kaise jaan skata hun main to itna hi kah sakta hun ki mere bhitar baitha jo mujhse baatcheet karta hai,wohi meri jaat hai.
usi ke saath mera neh juda hua hai aur main bus us jaisa hi ho gaya hun.islie mujh par kripa karo daya karo.
jab naachne lagi to ghughat kahan tikta hai.ab to chehre par se parda utar gaya hai athaart aatma aur parmaatma ke beech ka antar samaapt ho gaya.
yah ek tarah se acha hua jo mera priy mujhe sameep hi mil gaya,mujhe door jaane ke jhanjhat me nahi padna pada yaani
aur tarah tarah ke upaayon se nahi guzarna pada. yahan Bulleshaah is baat ka sanket de rahe hain ki unke guru se unhe jo gyaan mila usse wo sahaj hi apne swaroop ko na sirf samajh gaye balki usme(aatma me) isthit bhi ho gaye aur is tarah se unhe gyaan ke lie bhatakna nahi pada.
Bulleshaah kahte hain ki shauh ne kripa ki aur use prem madira(aadhyaatmik gyaan ras) pila di,jisse ushe bhekhudi sa hone laga yaani wo jab apne swaroop me isthit ho gaye to bhrahmgyaan se unhe bhrahmanand ki praapti ho gayi.

No comments:

Post a Comment