Samajhne se zyada asaan nibhane me hoti hai
dosti insaan ko behtar se behtar banati hai
dosti koi rasm koi shart naahi koi aarzu rakhti
dosti karne ke baad kabhi nahi todi jaati hai
shak nahi pashemaaani nahi fakr ka ehsaas ye
dosti hamesha hi dosti ka bhala chahti hai
rut beet jaati hai par phir laut ke aati hai
dosti jeevan ko prernapoorna banati hai
'Kraant' dosti unmuktata aur swatanrta hai
jo hawaon ki tarah sabko apna maanti hai
No comments:
Post a Comment