Pados me har su matam ho to phir khushi manayen kya
Wo hamara acha na chahe to kya hum bura chahen kya
sadiyun pehle jiski mitti hamare watan me thi chahakati
aaj khoo.n se laal hai wo par phir bhi bhool paayen kya
malum nahi ye kaisi dooriyaan panap gayin darmiyaan
siyasatdaaron ne aur badhaya bholi awaam ko sunayen kya
dushmani ko kabhi koi hawa deta dosti ko kabhi koi shak
bina shart bina shak lie badhen unke sadke jayen kya
chhod do ye aham ka chakkar bhool jaao saari talkhiyaan
haath milayen bahut milayen vaqt hai ab dil milayen kya
ye kaise haath insaan ke hi insaano par uth rahe wahan
kabhi masjid kabhi dargaah me dhamake,chain paayen kya
sabhi khaas hain kyunki Rab ne sabhi mohabbat se banaye
chain de aman de samajh de wahan aur hum gaayen kya
qitaab-e-insaniyat me paraya lafz hi nahi hota na ho sakta
doosre ki khushi me hi sachhi khushi baarha dohraayen kya
kab tak nafrat ki aandhiyaan sholon se sholen bujhaayengi
soch sako to socho aatank se bachne ko aatank mitaayen kya
sarhad par deewaar hai bholi awaamo ke dilon me hargiz nahi
siyasatdaar dono taraf ke mudda nahi mohabbat badhayen kya
badon ki baaten sunkar massom bachhon par kya guzarti hogi
maasomiyat ki chhaanv me Khudaai kaise kise samjhayen kya
No comments:
Post a Comment