Ghazal ho ya ho Sheyeri bus jazbaat ki baat hoti hai
Ehsaas par hi khatm inki ehsaas se hi shuruaat hoti hai
zindagi ki zindadili ashaar ki khanak kah jaati hai
sheyeri ki zubaa me sheyeri ki nahi kabhi raat hoti hai
Rah jate hain qaghaz ke panne nagmon ko sajoye par
hamesha hi ghazal ki khushbu unke saath saath hoti hai
Lamhon me likha jata hai kabhi muddaton ka haal
to kabhi muddat baad jake sher ki koi zaat hoti hai
likhna khud ba khud ho jata hai likhne me jab dil lagta
'kraant' sheyer ke ehsasaat ki bus itni karamaat hoti hai
'Kraant'

No comments:
Post a Comment