Ishq ke kai pehlu hain ishk ke kai rang hain
Baagh-e-ishk me har gul ke apne dhang hain
Ishq vo bhi ishk jo insaan apne doston se karta
Ishq vo bhi jisme bachhe bado ko karte tang hain
Ehsaas-e-Ishq-e-mehbub bhi ishq kahlata beshaq
Par tafseel-e-ishk ki dunia ke aur bhi sukhan hain
Roothna manana har tarah ke ishq me hai hota
Par ishq me kisi soorat nahi ho sakti jang hain
“Kraant” ishq vo hi ishq jo koi shart na rakhe
Jiske jazbaat jazbe se insaniyat ke sang hain
No comments:
Post a Comment