Sunday, 25 September 2011

Kahi man raam naam sambhaari


Kahi man raam naam sambhaari 

Kahi man raam naam sambhaari
maya kae marmi kaha bhulo jaahigau kar jhari
deshi dhoon ihaan kaun terau saga sut nahi naari
tori sang sab doori kari hain dehinge tan jaari
praan gaye kachhu kaun terau deshi soch vichaari
bahuri ihi kalikaal maanhi jeeti bhaave haari
yah maya sab thothari re bhagati disi sab prati paari
kahe ‘Raidaas’ sati bachan gur ke jo jeeb syon bisaari

Sant Ravidaas ji apne man ko sambodhit karte hue kahte hain ki re man chet ja aur raam ka naam saawdhaani poorwak jap.Tu kyun maya m bhramit hai uljha hua hai, kyun saansaarik sukh ko sachha sukh samajh raha haii?
Is nashwar sansaar me koi bhi kisi ka nahi hai naa hi ho sakta hai.Ravidaas ji kahte hain ki jin he tu apna samajhta hain we bhi teri mritu par kuch nahi kar paayenge athaart tu is anmol samay ko pehchaan.
Re mansuhya! Jab tak sharer me praan hain tab tak har koi tera hai.Lekin jab sharer se praan nikal jaenge tab tera koi bhi nahi rahega. Is baat ka tu vichaar kar.
Ve kahte hain ki maya jhoothi hai jo is vinaashsheel jagat me avinaashi is aatma ko tarah tarah ke pralobhan aur kaamnaaon se bhatkaaye hue hai, islie maya me bhramit na ho aur bhakti ki oor badh.
Bhakti ki pratipaalna kar.Ravidaas ji kahte hain ki Guru ke vachan hi satya hain, lekin hey jeev tu guru ke sat vachano ka nirantar sumiran nahi kiya, ab tak apne jeevan me unka anusaran nahi kiya.

No comments:

Post a Comment