Saturday, 24 September 2011

Satsang Vaani 3

Anookoolta pratikoolta se raazi naraaz hona ghalti hai.Anukoolta pratikoolta vichlit karne ke lie nahi aati,pratyut achal banane ke lie aati hain.

prabhu chintan ke samay sansaari baaton ke aane par ya dhyaan na lagane par ye sochen ki prabhu ka naam uska sumiran itna chinmay itna divya hai ki uske lie hamari maayik man budhhi ko bhi divya hona padega aur prabhu sumiran swayam me ek aushadhi hai jiske dwara kooda karkat athaart sansaar ke vichaar nikal jaate hain aur antahkaran shudhh hone lagta hai.


Gyaan me akhandras hai aur bhakti me anantras hai atah bhakti nissandeh sarvashresthha hai.

Parmaatma ki do prakratiyaan hain - Chhar(jad) aur achhar(chetan).
Chhar ki saadhna karmyog hai,achhar ki saadhna gyaanyog hai aur Purshottam Parmaatma ki saadhna bhaktiyog hai.

No comments:

Post a Comment