Saturday, 24 September 2011

Maati kudum karendi yaar

Maati kudum karendi yaar
vaah - vaah maati di gulzaar

maati ghoda, maati joda
maati da aswaar
maati maati nu daudawe
maati da khadkaar
maati maati nu maran laggi
maati de hathiyaar
jis maati par bahut maati
so maati hankaar
maati baagh bageecha maati
maati da gulzaar 
maatyi maati nu vekhan aayi
maati dee ae bahaar
has khed phir maati howae
saundi maaun pasaar
bullaha eh bujharat bujjhen
taan laah siron bhuin maar


Maati ki uchhalkood 


yahan sant Bulleshah ji behad marmik dhang se maati athaart is deh ke baaren me kahte hue kah rahe hain ki 
jeevan ka uddeshaya vyakti ka apne aham ko bhulaana aur doosron ki sewa karna jab hoga tabhi is maati,is deh ki sadupyogita hai..

maati uchhalkood rahi hai mitra.Is maati ki raunak bhi kya khoob hai.
Maati ka ghoda hai,us par maati ka hi jhol hai aur maati ka hi sawaar hai.Maati ko maati hi dauda rahi hai.Maati ka hi koda hai aur uski chataakh awaaz bhi maati ki hi hai.
Maati ko maati peet rahi hai.Uske hathiyaar bhi maati ke hi hain.

jis maati ke paas kuch adhik hi maati hai,use vyarth ka ahankaar ho jata hai.Yah baagh bageecha bhi maati ka hai.phoolon ki kyaari bhi maati ki hai.

Maati hi maati ko dekhne aayi hai,ye saari raunak maati ki hi hai.Sansaar ke bhautik anand lootkar manushya punah maati ho jata hai.Aur paanv pasaarkar mritu ki goad me so jata hai.Bulleshah kahta hai ki is paheli ko samjhna chahte ho to sara bhojh sir se utaarkar dharti par rakh do.sab kuch mitti se hi bana hai,aur vyarth ka ahankaar badhaane ke baad bhi antatah vyakti ko maati me hi mil jana hai.

No comments:

Post a Comment