Wednesday, 28 September 2011

Raam bin sansae gaanthi na chhutae

राम  बिन  संसे  गांठी न छूटे
काम  क्रोध  मद  मोह  माया ,इनि पंचनी  मिलि लूटै 
हम  बड़  कवि  कुलीन  हम  पंडित ,हम  जोगी  सन्यासी 
ग्यानी  गुनी  सूर  हम  दाता , यहु  मति  कदे  न  नासी 
पढै  गुनै कछु समझी  न  परई ,जौं  लौं अनभै  भाव  न  दरसे 
लोहा  हर  न  होई  धूके से , जौ पारस नहीं परसे 
कहे  'रैदास ' और असम्झासी , भूली  पदे भर्म  भौरे 
एक  आधार  नाऊ  नरहरी  कों, जीवनि प्रानधन मोरै



Raam bin sansae gaanthi na chhutae
kaam krodh mad moh maya,in panchani mil lootae
hum bad kavi kuleen hum pandit,hum jogi sanyaasi
gyaani guni soor hum data, yahi mati kade na naasi
padhae gunaekachhu samajhi na parai,jaun laun anabhae bhaav na darse
loha har na hoi dhookae se, jau paras nahin parse
kahe 'Raidaas' ar asamjhasi, bhuli padae bharm bhaure
ek adhaar naau narhari kao,jeevani praandhan morae


Sant Ravidaas ji kahte hain ki in sansaar me har koi shareer aur parmaatma ke bhram se bhramit hai.Kyunki har kisi ke man me ek prakaar ki gaanth athaart sanshay hai.Yah gaanth tabhi khul sakti hai jab Parmaatma ki kripa ho jaaye..Is manushya ko kaam,krosh,lobh,moh,maya ne loot liya hai.Yahan sabhi aham bhaav se grast hain.Har koi swayam ko gyaani,kuleen,yogi,gunvaan,vidwaan,daani samajhta hai.Aisa samjhne ki yah budhhi kabhi nasht nahi hoti.
Vastutah anubhav tab hota hai jab adhyayan karne ke baad manan bhi kiya jaaye.Yah tathya hai ki lohe ko jalaane se vo sona nahi ban jata.Yadi lohe ko sone me parivartit karna hai to use paras se chhuaya jata hai.Ravidaas ji kahte hain ki samajh na hone ke karan hi log bhramit hain.Ek narhari ke naam ka hi adhaar hai.Wohi meri jeevan naiya ke khivaya hai.Ekmaatra prabhu parmeshwar hi mere praano ka adhaar hai.

2 comments: