Saturday 19 February, 2011

Kavita



Kavita anubhuti hai bhawnaon ki aisi
Suraj ke saath rahti hain kiranen jaisi

Kavita spandan hai vyakt hota hai jo
khud ba khud kavita banti hai waisi

Kavita sur hai kavita sangam hai koi
jisme har chhan sajeevta bahti rahti

Kavita hoti adhaar hai manavta ka
nahi jaanti pakchhta hoti hai kaisi

Kavita disha deti hai bhawnaon ko
Jyotirmay karti hai khud bhi jagmagati

'Kraant'

No comments:

Post a Comment