Monday 14 March, 2011

Kavita

Vyakti ke manbhaawon ko vyakti karti hai kavita
parantu vyaktitva ka darpan si hi hoti hai kavita

kavita ka adhaar kaavya ki anubhooti hai magar
kavita ki parichayak khud hi banti hai kavita

Kavita ek maadhyam hai khud se vaartalaap ka
ehsaason ki baarish se aur khil uthti hai kavita

apni pehchaan kavita khud hoti aur maan bhi
kavi ki kalpanaon ko naya aasmaan deti hai kavita


maunta ka sambodhan hai maunta se aandolit hai
har shabd me rahke usse alag ek shaanti hai kavita

Friday 4 March, 2011

Kavita ek manohar anubhooti hai samvednaaon ki
kavita ek suljhi peheli hoti hai bhaawnaon ki
kavita siyaahi nahi jazbaat ke rang se khilti hai
kavi ke manobhaawon se hi wo chamakti hai
kavita hargiz koi shart ya sauda nahi hai jaanti
kavita koi seema koi bandhan nahi hai maanti
kavita farsh se arsh tak ek jaagrat swapn hai
jazbaat ke gulshan ko mahkata rahta jiska kan kan hai

Wednesday 2 March, 2011

Gham aur khushi se aage bhi jahaan hai
gham aur khushi me bhi jiska makaan hai

rakhta hai dard jo shiddat se sambhaalkar
rahti uske hothon pe sachhi muskaan hai

aadmi ka pehla kaam hai aadmi sa hi rahe
jo ise samajh jaaye vo banta insaan hai 

muskurkar hi liya kijiye dosti ka naam
inayat yehi,yehi to dosti ki pehchaan hai

tasavvur ko pasand hai bebaaki bahut
kalam ka bhi magar apna imtehaan hai

'Kraant' mushkilon se jab hanske milo
zindagi hakikat me ban jati asaan hai