Thursday 24 February, 2011


A poem is a charm of writing the expression.
A poem is a passion of feeling the compassion.
A poem is a gift,a language of emotions.
A poem is a way to construct life's lessons.
A poem is a thank to everyone in the surrounding.
A poem is a fly of imaginations,itself its own wind.

Wednesday 23 February, 2011

kavita khushi se sarabor to kabhi dard ki door
kavita zindagi se rubaru to kabhi zindagi ki oor

kavita jab bhi likhe jab bhi padhe ahmiyat hai uski
kavita  khamoshi ki baat kabhi khamoshi ka shor

kavita dost hai kavita dosti se badhkar ek rishta
kavita jo bhaawnaon ko jeeti hai nibhane ki taur

kavita jo kaghaz pe kabhi kabhi zehen pe utarti
kalam jise likhti rahti nahi karti siyaahi par gaur

kavita jo maayne apne khud hi hoti hai hamesha
kalam unmukt rahe bandhan ke nahi isme daur



Tuesday 22 February, 2011

Poem



A poem is a beautiful scene of the nature
A poem is a deep feeling of the creator
A poem is enthusiasm and a zeal in itself
A poem is a never ending treasure in itself
A poem is an imagination expressed in the words.
A poem is a thank to the expression through words.

Monday 21 February, 2011

Kavita

Kaavita jab bhi kahi jaati bhaav se kahi jaati
Kavita jab bhi samjhi jaati bhaav se samjhi jaati


Kavita vo hamesha hi samaaj yaad rakhta hai
jo poornataya samaaj ke lie hi hai likhi jaati


Kavita maun hai kavita maun ki abhivyakti bhi
Wachaalta khamoshi ki khamoshi se kahi jaati


Kavita chhaanv hai jo kalam se yehi kahti rahti 
Tasavvur ke aasmaan se jazbaat ki dhoop nahi jaati


Adhoori likhi bhi poorna aur poori bhi adhoori
Kalam aur kalapana ki udaan nahi naapi jaati




'Kraant'



Sunday 20 February, 2011

Kavita




Kavita ki koi jaat nahi kavita ki koi paat nahi
Bhawna ki chhaya hai bhawnaon ki aanch nahi


Kavita kabhi bhi niruddeshya nahi likhi jaati
Kavita ke lie sirf jazbaat hi paryaapt nahi


Kavita saundarya hai mohak kalpanaon ka
Unmukta.ta ko bhi jiski seema ka gyaan nahi


Kavita raushan hoti hai raushan karti hai
Hamesha hi khushnuma subah,isme raat nahi


Kavita chand panktiyun me bhi asar rakhti
Kavi ke lie koi ek kavita hoti khaas nahi




'Kraant'



Saturday 19 February, 2011

Kavita



Kavita anubhuti hai bhawnaon ki aisi
Suraj ke saath rahti hain kiranen jaisi

Kavita spandan hai vyakt hota hai jo
khud ba khud kavita banti hai waisi

Kavita sur hai kavita sangam hai koi
jisme har chhan sajeevta bahti rahti

Kavita hoti adhaar hai manavta ka
nahi jaanti pakchhta hoti hai kaisi

Kavita disha deti hai bhawnaon ko
Jyotirmay karti hai khud bhi jagmagati

'Kraant'