Saturday 9 April, 2011

Kaavya(काव्य)

Kaavya ek anubhooti hai kavita ek yaatra hai
oonche himshikhron se jaise koi nadi apni dhara lie chalti
kahin thithak kar kahin manmane dhangh se baat apni kahti
kavita bhi kalam ke maadhyam se panktiyun me badhh koi sarita si hai
jo aviral roop se apne gantavya ko prati pal apne saath lie rahti hai
kavi ke lie uski kavita ek gangajal hai jisse uska bhaav bhi hota paawan hai



काव्य  एक  अनुभूति  है  कविता  एक  यात्रा  है
ऊँचे  हिमशिखरों  से  जैसे  कोई  नदी  अपनी  धारा लिए  चलती
कहीं  ठिठक  कर  कहीं  मनमाने  ढंग  से बात  अपनी  कहती
कविता  भी  कलम  के  माध्यम  से  पंक्तियों  में  बहती  कोई  सरिता  सी  है
जो  अविरल  रूप  से  अपने  गंतव्य  को  प्रति  पल  अपने  साथ  लिए  रहती  है
कवि  के  लिए  उसकी  कविता  एक  गंगाजल  है जिससे उसका भाव भी होता पावन  है 
Kraant

No comments:

Post a Comment