Sunday 25 September, 2011

Jini na paaio prem rasu kant na paaio saau


Jini na paaio prem rasu kant na paaio saau



Jini na paaio prem rasu kant na paaio saau
sunje ghar ka paahuna jiu aaiaa tiu jaau
sau olaamhe dinae kae raati milani sahans
sifati salahanu chhadi kae karangi laga hansu
phitu eevehaa jeeviaa jitu khaai wadhaaiiaa petu
nanak sache naam vidu sabho dusman hetu



Yahan sadguru Nanak ji sansaar me aasakti rakhne ko cheta rahe hain aur jeevan ka mool uddeshya parmaatma praapti bata rahe hain. We kahte hain ki Jinhone parmeshwar ke naam ka swaad nahi lia
aur uske prem ka ras nahi piya we sansaar me,soone ghar ke mehmaan ki tarah jaise aaye hain waise hi chale jaayenge. Jeev apne paap poorna karmon ke karan din raat saikdon hazaron upalambh praapt karta rahta hai.Yah jeev roopi hans parmaatma ki stuti aur prashansa roopi moti chugna chhodkar vishay-vaasna ka murdaar khaane lag gaya hai. Ye sab kha kha kar jinhone apna pet bhada lia hai, unke jeevan ko dhikkaar hai Hey Nanak sachhe naam ke bina sabhi prakaar ke saansaarik prem bairi ho jaate hain.

No comments:

Post a Comment