Thursday 22 September, 2011

Satsang Vaani 2

Kaamnayen aaj tak kisi ki poori nahi hui,kaamnaayen sarwatha poori ho hi nahi saktin.Parantu kaamna ka tyaag karke kai sant ban gaye.Kaamna ka tyaag karna hai - ye vichaar hi kaamna chhodne me badhak hai.Vaastava me nityanivratta ki hi nivratti karni hai.Sansaar ka tyaag karna nahi padta.Sansaar pehle se hi nivratt hai,kewal is vaastavikta ko sweekaar karna hai.Yadi kaamna ki poorti kaamna ke adheen hai to phir sabhi kaamnaon ki poorti honi chahiye.Atah poorti kaamna ke adheen nahi hai,pratyut kisi vidhaan ke adheen hai.Vidhaan ki poorti bina kaamna ke bhi hogi.Islie kaamna karna kewal dukh pana hua.


apne dwara apna udhhaar karen,apna patan na karen: kyunki vyakti aap hi apna mitra hai aur aap hi apna shatru.Yadi apne udhhaar aur patan me doosra kaaran hoga to udhhaar kabhi ho sakega hi nahi.Vaastava me doosra sukh dukh de sakta hi nahi.Apne hi kiye hue karmon ke phal se paristhati aati hai.Doosre ko sukhdaayi dukhdaayi maan lena ghalti hai.

Satsang karm ka phal nahi hai.Ye kripa se atwa apne udhyog(prayatn) se mila hai.
Guru shishya ki gyaan nahi deta,pratyut shishya ke bheetar vidhyamaan gyaan ko hi jaagrat karta hai.

Sansaar ki ikchha rahne s hi parmaatma ki ichha karni padti hai.Sansaar ki ichha se na sansaar mil sakta hai na Parmaatma.Sansaar ki ichha mitne par parmaatma ki praapti swatah hai.Hriday me naashwaan ka mahatva nikla nahi ki Pramaatma ki praapti hui.

2 comments: