Sunday 25 September, 2011

Satsang vaani 4

Vivek


agar manushya vivek ka adar kare athaart vivek virudh kaarya na kare to uska vivek guru aadi ki sahaayta ke bina swatah badh jata hai.

Vivek ki aawshayakta jad padaarthon se hone wale sukh ke tyaag tak hai.Taatparya hai ki vivek ki aawshayakta jad ka aakarshan (raag,aasakti) mitaane me hai.vivek ko mahatva dene se jadta ka aakarshan samaapt hota hai.


saadhu sant aur mahatma

jo sadhan me tatpar hai wo saadhu hai.jisne sadhan karke anubhav kar lia hai aur jiski vaani,aacharan aadi sab me sat tatva udhhasit hota hai, wo sant hai.Jiski drashti me me main mere tu tere ka bhed nahi raha jiska sab praaniyon ke prati samaan bhaaw ho gaya wo mahaatma hai.

Jeevanmukt

Jeevanmukt ki kriyaen abhimaanshunya aham se hoti hain jisko ahamvratti kahte hain. Jab uska kahlane wala shareer nahi rahta, tab yah abhimaanshunya aham parmaatmtatva me vileen ho jata hai.

Chup - sadhan

mere ko baithna hai, chup sadhan karna hai - aisa sankalp rahne se chup sadhan badhiya nahi hota kyunki vratti me garbh rahta hai. Mere ko kuch nahi karna hai ye bhi karna hi hai.Chup sadhan badhiya tab hota hai jab kuch karne ki ruchi na rahe.Jo dekhna tha dekh lia,sunna tha sun lia,bolna tha bol lia, pana tha pa lia.Is prakaar kuch bhi dekhne sunne bolne aadi ki ruchi na rahe.Antahkaran me kuch bhi ruchi ya ichha na ho.
Ye vichaar ki man me vichaar na aayen bhi nahi aane ki awastha me chup sadhan hota hai.


Anand

Sansarik sukh dukh ki apechha se hain athaart sansarik sukh ke saath dukh bhi hai.Parantu anand nirpekchha hai uske saath dukh ka mishran nahi hai.Sansarik sukh me vikaar hai par anand nirvikaar hai.Sansarik sukh vishayendriya-sanyogjanya hai par anand sanyogjanya nahi hai.Taatparya hai ki vikaar,dukh,kami,vichhep,vishamta aadi ka na hona hi anand hai.
Anand do tarah ka hota hai akandanand aur anantanand.
Mukti ka anand akhand anand hai aur bhakti ka anand anantanand hota hai.Yadi sadhak aagrah na rakhe to shaantras akhandras me aur akhandras anantras me swatah leen hota hai.

No comments:

Post a Comment