Tuesday 20 September, 2011

Satsang vaani


Sansaar ka viyog hi satya hai. sanyog ka viyog to awashyambhaawi hai ar viyog ka sanyog awashyambhaawi nahi hai. parmaatma ke saath ekta 'Yog' hai.
ye yog nitya hai. sansaar ka viyog nitya. sansaar ka gyaan sansaar ke viyog se hoga aur parmaatma ka gyaan parmaatma ke yog se hoga.karan ki sansaar alag hai,parmaatma alag nahi hai.
Jeena anitya hai,marna nitya hai.Jiska viyog awashaymbhaawi,uski sewa karo.Jiska sanyog awashaymbhaawi hai,usse prem karo.Jo awashaymbhawi hai use pehle se hi sweekar kar lena chahiye.


main sadhak hun isme 'hun' bhaag ki mukhyata aur 'main' bhaag ki gaudta hai.main sansaari hun isme 'main' bhaag ki mukhyata aur 'hun' bhaag ki gaudta hai.
Karmyogi 'sewa' ke dwara (parhit ke lie) tyaag karta hai,jo sugam padta hai.Gyaanyogi 'vichaar' ke dwara tyaag karta hai.

jo hum man,budhhi,indriyon se jaante hain, wo man,budhhi,indriyon ka wishay hai.Parmaatma man,budhhi,indriyon ka wishay nahi hai.Parmaatma ko
swayam se hi jana ja sakta hai,karan ki swayam parmaatma ka ansh hai.Swayam se jaanne ke lie awashyak hai ki pehle swayam ko jaano ki swayam kya hai?
apne honepan ka anubhav sabko hai.Jaise apna honapan hai aise hi parmaatma ka honapan hai.Parmaatma ke honepan ke antargat ye sab sansaar hai.

Jitne bhi dosh hain,wo anitya hain.Kaam,krodhaadi sab dosh aagantuk hain isthaayi nahi hai.Hum hi unhe mahatta dete hain aur is tarah se apne aapko dosh me baandh lete hai,doshi maan lete hain.Swaroop me dosh nahi hai athaart dosh apne me nahi hai.Unko hatane ka prayaas karna unki satta ko dran karna hai,atah unhe hatane ka prayaa nakarke unki satta ko hi na maane.Nirdoshta sweekaarya karte hi tatva ki praapti ho gayi.Atah apne ko aur doosron ko doshi maanna ghalti hai.


Parmaatmtatva ki praapti sadhak do tarah se kar sakte hain.

1. Karansapeksha sadhan -  jisme karan (indriyan,man,budhhi) tatha kriya ki pradhaanta rahti hai.isme vyakti dhyaan,samadhi ke dwara asampragyaat(nirvikalp) samadhi tak pahunchta hai,parmaatma se ekakaar hota hai.

2.Karannirpeksha(vivekpradhaan) sadhan - jisme sat-asat ke vivek ki pradhaanta rahti hai.

Karan(करण) - kaarya ki sidhhi me jo pradhaan hetu hota hai use karan kahte hain,jaise sunne me kaan karan hain,dekhne me aankh karan hai,samajhne me budhhi karan hai ityaadi.Shareer me kul terah karan hai.Shrotra,twacha,netra,rasna,ghraan,vaani,haath,paanv,upasth aur guda - ye dus (gyaanendriyaan aur karmendriyaan) 'bahikaran'  hain tatha man,budhhi aur ahankaar - ye teen antahkaran hain.

No comments:

Post a Comment