Wednesday 23 February, 2011

kavita khushi se sarabor to kabhi dard ki door
kavita zindagi se rubaru to kabhi zindagi ki oor

kavita jab bhi likhe jab bhi padhe ahmiyat hai uski
kavita  khamoshi ki baat kabhi khamoshi ka shor

kavita dost hai kavita dosti se badhkar ek rishta
kavita jo bhaawnaon ko jeeti hai nibhane ki taur

kavita jo kaghaz pe kabhi kabhi zehen pe utarti
kalam jise likhti rahti nahi karti siyaahi par gaur

kavita jo maayne apne khud hi hoti hai hamesha
kalam unmukt rahe bandhan ke nahi isme daur



4 comments:

  1. Bohat Khoob 'Kavita' ka kya Taroof pesh kiya hai.

    Regards
    ~Faiyaz~
    www.sher-o-shayri.in

    ReplyDelete
  2. Thanks Faiyaz bro for liking the poem,shukriya

    take care
    God bless

    ReplyDelete
  3. Shukriya dear,thanks a lot
    God bless

    ReplyDelete