Saturday 9 July, 2011

Ankho me jal raha hai kyu? bujhta nahi dhua

 
Ankho me jal raha hai kyu? bujhta nahi dhua
uthtaa to hai ghata sa barasta nahi dhua
 
 

Ankho me jal raha hai kyu?bujhta nahi dhua
 
 
Chulae nahe jalaye ya baste hi jal gayi
kuch roz ho gaye hain ab uthtaa nahi dhua
 
 
 
Ankho me jal raha hai kyu? bujhta nahi dhua


 
Ankho ke poachne se laga aanch ka pata
yun chera pher lene se chupta nahi dhua
 

Ankho se ansuoo ke marasim purane hai
mehmaa yeh ghar me aaye to chubhta nahi dhua
 
 
 
Uthtaa to hai ghata sa barasta nahi dhua
ankho me jal raha hai kyu? Bhujta nahi dhua 



- Gulzaar

No comments:

Post a Comment