Sunday 9 October, 2011

Mainpan ko mitaane ka upaay

Ahankaar ko mitaane ke teen upaay bataye gaye hain
Karmyog
Gyaanyog 
Bhaktiyog


Karmyog me nishkaambhaaw se doosron ki sewa karen. doosron ko sukh pahunchayen to apne bhog aur sangraha ki ichha mit jayegi bhogechha sarwatha mitne par ahankaar samaapt ho jaega; kyunki bhogechha par hi ahankaar tika hua hai 
Gyaanyog me vivek ke dwara ye samjhen ki asat ke saath hamara sambandh nahi hai, pratyut hamara sambandh sarwavyaapak sat-swaroop ke saath hai.Aisa samajhkar sat swaroop ka anubhav kar len to ahankaar mit jaega.
Bhaktiyog me bhagwaan hi mere hain, sansaar mera nahi hai -aisa maankar sansaar se vimukh aur bhagwaan ke sammukh ho jayen to ahankaar nasht ho jayega.
Karmyog me ahankaar shuddh hota hai,gyaanyog me ahankaar mitta hai naur bhaktiyog me ahankaar badalta hai.Shuddh hona,mitna aur badalna -teeno ka parinaam ahankaar ka abhaav hi hai,



from  - the book 'Amarta ki oar '

No comments:

Post a Comment